Youtube Par Aap Kis Tarah Ke Videos Upload Nahi Kar Sakte
Jab koi person pahli bar YouTube par video upload karta hai to kei bar uski self created videos bhi copyright ho jati hai. Or wo sochta hai ki ye video to maine khud banayi hai fir copyright kaise ho sakti hai. Actualy, Youtube par video upload karne ke liye hume YouTube ki policy follow karni padti hai. So jis video me YouTube ki policy ka ullaghan hota hai, google use copyright man leta hai.
- Youtube Se Video Download Kaise Kare (Bina Kisi Sofware Ke)
- Youtube Par Subscribers Kaise Badhaye Top 20 Tarike
Google jab humari video ko delete kar deta hai to "This video is no longer due to a copyright claim." message show hota hai. Generally aysa kisi bhi new YouTube user ke sath ho sakta hai. Ye YouTube ki common issue hai. I sure is post ko padhne ke bad aapke sath aane wale time me copyrighting ki problem nahi hogi.
- Mai YouTube par kis tarah ke video upload kar sakta hu.
- Kya mai gaming video YouTube par upload kar ke paise kama sakta hu.
- Kya mai TV serial ya movies ko record kar upload kar sakta hu.
- Maine video khud banaya hai fir bhi copyright kaise ho sakta hai.
- Kya mai apni video par filmi songs use kar sakta hu.
- Kya mai bina sound ke video upload kar sakta hu.
Ayse bahut sare sawal hai jo YouTube user mujhse aksar puchte rahte hai. So mai chahata tha ki un sabko iska details me jawab du, Jisse unke sath dusre YouTube users ki bhi help ho sake. Isliye mai ye post mere friends or mere all visitors ke liye likh raha hu. Commnet me post ke bare me apne thoughts jarur share kare.
Youtube Par Kis Tarah Ke Videos Copyright Ho Sakte Hai
Agar aap YouTube par video upload kar ke paise kamana chahate hai to aapko YouTube ki copyright policy ache se jan leni chahiye. Jisse aane wale time me aapko koi problem na ho. Kyuki YouTube par roj 1000 log channel banate hai but copyrighting ki wajah se sirf 50-100 hi success ho pate hai. Youtube par kis tarah ke video upload nahi kar sakte. Iske bare me mai aapko point se samajha raha hu.
- Audiovisual works: TV seral, movies seens or videos ko record kar ke YouTube par upload karna.
- Sound recordings and musical compositions: Kisi or ki sound (Jo pahle se YouTube par active ho) record kar ke ya fir kisi musical compatitioans ki video record kar ke upload karna.
- Written works: Kisi books, lectures, articles, and musical compositions books se copy kar ke video banana.
- Visual works: advertisements, paintings and kisi posters ki video bana kar upload karna.
- Video games and computer software: Koi bhi video games ya kisi software ko record kar upload karna.
- Dramatic works: Kisi plays yani khel ki recording karna Ya kisi or ke songs ki chori se recording karna.
- Legal Audio: Video ke liye sound bahut important hoti hai. But hum kisi filmi songs, dialogue abd voice ko video me add kar YouTube par upload nahi kar sakte.
- Stills and Images: Hum khud ki li photos ko hi video me use kar sakte hai. Agar aap kisi or ki image ka video clip bana kar YouTube par upload karoge to aapko uski permission leni padegi.
- Recording Location: Video banane ke liye aap kisi bhi public place, park ko shoot kar sakte ho but aapko private place video me shoot karna allow nahi hai. Jaise aap kisi dusre ka home and bussiness shoot nahi kar sakte.
- Your Age: Youtube par aap tabhi video upload kar sakte ho jab aapki age 17 years se jyada ho. Kyuki YouTube kabhi bhi aaapse documents verify kartne ke liye bol sakti hai.
Is tarah ke sare video copyright ho sakte hai. Kei bar game ya kisi or ki recording kar ke YouTube par upload karne se video copyright nahi hota hai. But ye dar humesha rahta hai ki copyright ho sakta hai. So hume sirf self created videos hi upload karne chahiye.
Ye post YouTube policy ka ek thoda sa part hai. Mai bahut jald iske bare me details se post karunga. I hope is post me bhi aapko achi jankair milegi.