PNR Status whatsapp पर कैसे check करे ?
Jaise jaise technology badal raha hai haj cheez badal raha hai, aaj se pehle hame apne PNR (passenger name record) check karne ke online NTES ki website se ya IRCTC ki website se check karna padta tha ya phir 139 pe call kar ke jo ki Railway ki enquiry number se pata chal jata tha but ab aisa bilkul nahi hai.
Read More:IRCTC Website se E-Ticket Kaise Print Kare
Jispe hame kaafi time bhi lag jate the but technology ne aaj sab kuch badal daal hai
Aaj aap apne whatsapp ke zariye he apne PNR status ko dekh sakte hai. Iske liye aapke pass ek android ka handset hona chahiye aur saath he aapke mobile pe whatsapp ka application.
Chaliye jaante hai kaise aap apne whatapp par PNR status dekh sakte hai:
- Sabse pehle aap apbe smart phone ke dialer pe jaye
- Waha ab 7349389104 (iss number ko save kar le)
- Ab aap apne whatsapp ko open kar apne contech list ko update kar le
- Ab aap ne jo number save kiya tha uss number pe appko PNR 00000 Type kar send kar dena hoga. (Note: 0000 number ke jageh aap apna PNR number replace kar send kare.
- Send karte he aapke whatsapp pe uss PNR ka live status aa jayega.
Hai na PNR status ko janna bahut aasan, agar aapko koi dikkar ho rahi ho to hamare iss post pe comment kare.